SOCIAL SITES.


Hello friends,aaj hum jaanenge kuch best Social networking sites ke baare main jin ke widgets ham apne blog main add kar sakte hain.
Aap sabhi jaante hain ki social media sites par kitne logon ke account hote hai.Aur agar hame kisi bhi cheez ko promote karna hai to ham in kuch sites par kar sakte hain.jaise ki ham group bana sakte hain apne page bana sakte hain,etc.
Social sites widgets blog main add karne ke liye.


Agar aap ek blogger ho to aap in kuch sites ki madad se apne blog ya blog post ko promote kar sakte ho.Aur agar ham apni post in sites par share karte hain to hamare blog par accha traffic bhi aata hai.

So,hame in sites ke widget apne blog main jarur add karne chahiye taaki dusre log bhi hamari post ko share aur like kar sake social sites ki maddad se.

3 Best Social Sites jinke widget blog main add kar sakte hain.


Ham aaj bhaut si social networking sites ko jaante hain aur ham logon ke bhi bhaut sari sites par account hote hain.Lekin in main se ham kuch hi sites ke widget add kar sakte hain blog main.To chaliye jaante hain wo 3 sites-

1-Facebook.

2-Google+

3-Twitter.

Yeh teen popular sites hain jin ke baare main ham sabhi acche se jaante hain.Yeh sites duniya ki top-3 social networking sites hai aur in sites par billion logon ke account hain.
Ek aur site hai uska naam hai whatsapp par iske widgets ham add nahi kar sakte hain kyuki yeh jyaadatar androids main hi chalta hai.

Widgets jo hum add kar sakte hain.

In sites ke Widgets jinko ham add kar sakte hain.

1-Follower button.
Yeh google+ aur twitter ke liye blog main add kiya jaa sakta hai.Is widget se hamare followers ki sankhya visitors ko ppata chalti hai aur is button par click karke visitors hame aasaani se follow kar sakte hain.

2-Like box.
Yeh facebook aur twitter ke liye add kiya jaa sakta hai.Ye hamare page se linked rahta hai aur jab hamaare blog par aakar koi isko like karta hai to wo indirectly hamare page ko"like"karta hai.

3-Share buttons.
Yeh ham teeno sites Google+,twitter,aur facebook ke liye add kiya jaa sakta hai.Is ki madad se ham blogpost ko aasani se share kar sakte hain.Yeh buttons waise blogger templates main inbuilt hote hain par bhaut hi chhote hote hain.
In buttons ki madad se hamare visitors hamari post ko share kar sakte hain.

To yeh the kuch widgets jis se ham apne blog ka traffic badha sakte hain sirf inhe add karne se.
Agar aap ko jaanna hai ki kaise in widgets ko ham add kar sakte hain to aap hamare blog ko subscribe karen.Kyuki main next post"inko add kaise karen"is topic par likhne wala hoon.Agar aap subscribe karenge to wo post appne aap aapke email box main aa jayegi email ke dwaara.
Agar aapko koi bhi problem hai is post se related ya kisi aur post se related to hame avashya bataye comment karke.
Hamari post ko share jarur karen.

1 comments:

While commenting read all the terms carefully.

1-Do not post one comment 3-4 times.
2-Do not use the wrong words in your comment.
3-Ask the questions in full details so that i may help you.
4-Do not Share any link while commenting.
5-Comment us while remmembering these points only.

 
Top
class="lang:php decode:1 ">