SPEED.         

Hello friends aaj hum jaanenge ki kaise apne blog ki page speed badhate hain.Hamare blog ki speed acchi hona bhaut hi jaruri hota hai.




Hamare blog ka 60% traffic page speed par depend karta hai.Aur iss se hamare bounce rate main bhi fark padta hai.

Bounce rate:Bounce rate ka matlab hota hai ki kitne%visitors sirf hamare ek page ko hi visit karte hain wo bhi ek baar main.
blog page load speed kaise increase karen.

Sirf bekaar page speed ki wajah se hi hum apne 20% visitors loose kar dete hain.


Jab bhi ham kabhi internet par koi bhi cheez search karte hain aur usko load hone main 5-6 minutes lagte hain to hame gussa aata hai aur hum us site ko chod kar kisi aur site par jaate hain.

Isi tarah se agar hamari site ki page rank acchi nhi hui toh visitors bhi kisi aur site par chale jaayenge.Par apni page speed ko sudhaara bhi jaa sakta hai.Bas uske liye hame use karni hain kuch simple si tricks.




5 TIPS BLOG KI PAGE SPEED BADHANE KE LIYE.


1-Blog par widgets kam se kam hi use karen.

Apne blog par hame faaltu ke widgets add nahi karne chahiye in se hamare blog ki speed low ho jaati hai.
Hamare blog ke liye kuch widgets ki hi jarurat hoti hai jaise ki ADSENSE,FACEBOOK LIKE BOX,LABELS,POST WIDGETS.


2-Apne blog par kisi aur blog se liya hua HTML code copy karke usenahi karen.

Aap ko yeh sab ajeeb lag raha hoga par yeh such hai.Kisi aur ke blog se HTML code lene se hamare blog main spam aa jata hai.Agar aapko use karna bhi hai to bhaut hi kam use karen.


3-Had se jyada links add na karen.

Agar aap had se jyaada links use karenge to page bhaut hi der mai load hoga itne saare links ki wajah se.

Aur agar aap acchi template use kar rahe hain toh shaayad aapki page speed par koi fark naa pade.


4-Image ka size jyaada bada nahi hona chaahiye.

Aap jo bhi image use karte hain us ka size jyada bada nahi hona chahiye aur wo jpeg format main hi honi chahiye.
Agar aap Png format use karte hain to aap ko image ko compress karke add karna chahiye.Aur post main 4-5 image maximum use karen.


5-Post ke beech main jyada ads ka use naa karen.

Agar aap apni post ke beech main 4-5 ads ka use karte hain to aapka page bhaut hi der main load hoga.Agar aap ko iss samasya se bachna hai to fir aap apni post main sirf 1-2 ads ka hi use karen.
Agar aap simple template use karte hain to aapke page ki speed acchi bani rahegi desktop ki bhi aur mobile ki bhi.


PAGE KI SPEED KAISE CHECK KAREN.
Aap apne blog ki page speed bhaut hi asani se check kar sakte hain. 
Page speed check karne ke liye aap kuch sites ka use kar sakte hain jaise-


Agar aap ko koi bhi pareshaani ho iss post se related ya kisi aur post se related to comment jarur karen aur hame suggestions bhi dijiye.

0 comments:

Post a Comment

While commenting read all the terms carefully.

1-Do not post one comment 3-4 times.
2-Do not use the wrong words in your comment.
3-Ask the questions in full details so that i may help you.
4-Do not Share any link while commenting.
5-Comment us while remmembering these points only.

 
Top
class="lang:php decode:1 ">